Shayari on Beauty, Dekh Le Aaftaab Ek Najar
Nice Shayari about the Killer Beauty of Lover
Nigaah-e-Yaar Pe Palko Ki Lagaam Na Ho,
Badan Mein Dur Talak Zindgi Ka Naam Na Ho.
निगाह-ए-यार पे पलकों की अगर लगाम न हो,
बदन में दूर तलक ज़िन्दगी का नाम न हो।
Wo Be-naqaab Phirti Hai Gali-Kucho Mein,
Toh Kaise Shahar Ke Logon Mein Qatl-e-Aam Na Ho.
वो बे-नकाब जो फिरती है गली-कूंचों में,
तो कैसे शहर के लोगों में क़त्ल-ए-आम न हो।
Mujhe Yakeen Hai Ki Duniya Mein Dard Barh Jayein,
Agar Yeh Peene Pilane Ke Ehtmaam Na Ho.
मुझे यकीं है कि दुनिया में दर्द बढ़ जाएँ,
अगर ये पीने पिलाने के एहतमाम न हो।
Bitha Ke Saamne Bas Dekhta Rahu Uss Ko,
Iss Ke Siwa Mujhe Duniya Ka Koyi Kaam Na Ho.
बिठा के सामने बस देखता रहूँ उस को,
इस के सिवा मुझे दुनिया का कोई काम न हो।
Jo Usko Dekh Le Aaftab Ek Najar Mohsin,
Mere Shahar Ki Galiyon Mein Kabhi Shaam Na Ho.
जो उसको देख ले अफताब एक नज़र मोहसिन,
मेरे शहर की गलियों में कभी शाम न हो।
(Mohsin Naqvi)