Faqat Is Shauq Mein Puchhi Hain Hazaron Baatein,
Main Tera Husn Tere Husn-e-Bayan Tak Dekhun.
फ़क़त इस शौक़ में पूछी हैं हज़ारों बातें..
मैं तेरा हुस्न तेरे हुस्न-ए-बयाँ तक देखूँ।
Dhadkano Ko Kuchh To Kaabu Mein Kar Ai Dil,
Abhi Palkein Jhukayi Hain, Muskurana Abhi Baki Hai.
धडकनों को कुछ तो काबू में कर ए दिल,
अभी तो पलकें झुकाई हैं मुस्कुराना अभी बाकी है।
Kam Se Kam Apne Baal To Baandh Liya Karo,
Kambakht..Be-Wajah Mausam Badal Diya Karte Hain.
कम से कम अपने बाल तो बाँध लिया करो।
कमबख्त..बेवजह मौसम बदल दिया करते हैं।
Meri Tasbeeh Ke Daane Hain Bholi Sooraton Wale,
Nigaahon Mein Firata Hoon Ibaadat Hoti Jaati Hai.
मेरी तस्बीह के दाने हैं भोली सूरतों वाले,
निगाहों में फिराता हूँ इबादत होती जाती है।
Ye Udti Zulfein Aur Ye Bikhri Muskaan,
Ek Adaa Se Sambhloon Toh Dusari Hosh Udaa Deti Hai.
ये उड़ती ज़ुल्फें और ये बिखरी मुस्कान,
एक अदा से संभलूँ तो दूसरी होश उड़ा देती है।
Hindi Shayari on Beauty for Girlfriend