Shayari on Beauty, Sarak Gaya Rukh Se Parda

Naqaab Shayari and Parda Shayari in Two Lines

Advertisement

Sarak Gaya Jab Uske Rukh Se Parda Achanak,
Farishte Bhi Kehne Lage Kaash Hum Insaan Hote.
सरक गया जब उसके रुख से पर्दा अचानक,
फ़रिश्ते भी कहने लगे काश हम भी इंसान होते।

Khud Na Chhupa Sake Wo Apna Chehra Nakaab Mein,
Bewajah Humari Aankhon Pe ilzaam Lag Gaya.
ख़ुद न छुपा सके वो अपना चेहरा नक़ाब में,
बेवज़ह हमारी आँखों पे इल्ज़ाम लग गया।

Advertisement

Itne Hijaabon Par Toh Yeh Aalam Hai Husn Ka,
Kya Haal Ho Jo Dekh Lein Parda Uthaa Ke Hum.
इतने हिजाबों पर तो ये आलम है हुस्न का,
क्या हाल हो जो देख लें पर्दा उठा के हम।

Jalwon Ki Saajishon Ko Na Rakho Hijab Mein,
Yeh Bijliyan Hain Ruk Na Sakengi Naqab Mein.
जलवों की साजिशों को न रखो हिजाब में,
ये बिजलियाँ हैं रुक न सकेंगीं नक़ाब में।

Badi Aarzoo Thi Mohabbat Ko Benaqab Dekhne Ki,
Dupatta Joh Sarka To Zulfein Deewar Ban Gayin.
बड़ी आरज़ू थी मोहब्बत को बेनकाब देखने की,
दुपट्टा जो सरका तो जुल्फें दीवार बन गयीं।

Advertisement

Shayari on Beauty, Chand Aahein Bharega

Shayari on Beauty, Jis Khuda Ne Tumhein Banaya

Comments