Ek Si Shokhi Khuda Ne Di Hai Husno-Ishq Ko,
Fark Bas Itna Hai Wo Aankhon Mein Hai Yeh Dil Mein Hai.
एक सी शोखी खुदा ने दी है हुस्नो-इश्क को,
फर्क बस इतना है वो आंखों में है ये दिल में है।
Uski Kudrat Dekhta Hun Teri Aankhein Dekhkar,
Do Piyalon Mein Bhari Hai Kaise Lakhon Man Sharab.
उसकी कुदरत देखता हूँ तेरी आँखें देखकर,
दो पियालों में भरी है कैसे लाखों मन शराब।
Mast Aankhon Par Ghani Palkon Ki Chhaya Yun Thi,
Jaise Ki Ho Maikhane Par Ghanghor Ghata Chhayi Huyi.
मस्त आंखों पर घनी पलकों की छाया यूँ थी,
जैसे कि हो मैखाने पर घरघोर घटा छाई हुई।
Log Kehte Hain Jinhein Neel-Kanwal Wo Toh Qateel,
Shab Ko Inn Jheel Si Aankhon Mein Khila Karte Hain.
लोग कहते हैं जिन्हें नील कंवल वो तो क़तील,
शब को इन झील सी आँखों में खिला करते है।
Adaa Nigaahon Se Hota Hai Farz-e-Goyai,
Jubaan Ki Hadd Se Jab Shauk-e-Bayaan Gujrata Hai.
अदा निगाहों से होता है फर्जे-गोयाई,
जुबां की हद से जब शौके-बयां गुजरता है।
Kabhi Baitha Ke Samne Puchhenge Teri Aankhon Se,
Kisne Sikhaya Hai Inhein Har Dil Mein Utar Jana.
कभी बैठा के सामने पूछेंगे तेरी आँखों से,
किसने सिखाया है इन्हें हर दिल में उतर जाना।
Aankhein Shayari, Milayenge Najar Kis Se
Shayari on Eyes, Samandar Hain Teri Aankhein