Deewana Bana Jaati Hain Aankhein
Nice Shayari on Eyes in Hindi
Dil Ki Baatein Bata Jaati Hain Aankhein,
Dhadkano Ko Jaga Jaati Hain Aankhein,
Dil Pe Chalta Nahi Jaadu Chehron Ka Kabhi,
Dil Ko To Deewana Bana Jaati Hain Aankhein.
दिल की बातें बता जाती हैं आँखें,
धड़कनों को जगा जाती हैं आँखें,
दिल पे चलता नहीं जादू चेहरे का कभी,
दिल को तो दीवाना बना जाती हैं आँखें।

Aankhein Ashq Nahi Samandar Hai Tumhari,
Jinki Lahero Mein Hai Aahat Humari,
Ek Boond Bhi Na Girne Denge Zameen Pe,
Yeh Aankhein Nahi Pyaas Hain Humari.
आँखें अश्क नहीं समंदर हैं तुम्हारी,
जिनकी लहरों में है आहट हमारी,
एक बूंद भी न गिरने देंगे जमीन पे,
ये आँखें नहीं प्यास है हमारी।
Jara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein,
Phir Uske Baad Musalsal Azaab Aankhon Mein,
Woh JisKe Naam Ki Nisbat Se Roshni Tha Wajood,
Khatak Raha Hai Wahi Aaftaab Aankhon Mein.
जरा सी देर को आये थे ख्वाब आँखों में,
फिर उसके बाद मुसलसल अज़ाब आँखों में,
वो जिसके नाम की निस्बत से रौशनी था वजूद,
खटक रहा है वही आफताब आँखों में।