Teri Aankhon Mein Dekh Loon
Praise Shayari for Eyes in Two Line
करीब आ तेरी आँखों में देख लूँ खुद को,
बहुत दिनों से मैंने आइना नहीं देखा।
Kareeb Aa Teri Aankhon Mein Dekh Loon Khud Ko,
Bahut Dino Se Maine Aaina Nahi Dekha.
आँखें जो उठाए तो मोहब्बत का गुमाँ हो,
नजरों को झुकाए तो शिकायत सी लगे है।
Aankhein Jo Uthhaye Toh Mohabbat Ka Gumaan Ho,
Najron Ko Jhukaaye Toh Shiqayat Si Lage Hai.
आँखों में नमी सी है चुप-चुप से वो बैठे हैं,
नाजुक सी निगाहों में नाजुक सा फसाना है।
Aankhon Mein Nami See Hai Chup-Chup Se Wo Baithe Hain,
Naazuk Si Nigaahon Mein Naazuk Sa Fasanaa Hai.
सवाल करती कई आँखें मुंतजिर हैं यहाँ,
जवाब आज भी हम सोच कर नहीं आए।
Sawaal Karti Huyi Kayi Aankhein Muntzir Hain Yahan,
Jawaab Aaj Bhi Hum Soch Kar Nahi Aaye.
उन रस भरी आँखों में हया खेल रही है,
दो जहर के प्यालों में कजा खेल रही है।
Unn Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai,
Do Zeher Ke Pyalon Mein Qaza Khel Rahi Hai.