Two Line Shayari, Chiraago Ka Safar
Deep Two Line Shayaris in Hindi

Raat Toh Waqt Ki Paband Hai Dhal Jayegi,
Dekhna Yeh Hai Chiraago Ka Safar Kitna Hai.
रात तो वक़्त की पाबंद है ढल जाएगी,
देखना ये है चरागों का सफ़र कितना है।
Lakdi Ke Makano Mein Chiraago Ko Na Rakhiye,
Apne Bhi Yeha Aag Bujhaane Nahi Aate.
लकड़ी के मकानों में चरागों को न रखिये,
अपने भी यहाँ आग बुझाने नहीं आते।
Be-Sabab Yun Hi Sar-e-Shaam Nikal Aate Hain,
Hum Bulayein Toh Unhein Kaam Nikal Aate Hain.
बे सबब यूँ ही सर-ए-शाम निकल आते हैं,
हम बुलाएँ तो उन्हें काम निकल आते हैं।
Main Ghar Se Teri Tamanna Pahan Ke Jab Niklu,
Barhana Shahar Mein Koi Najar Na Aaye Mujhe.
मैं घर से तेरी तमन्ना पहन के जब निकलूँ,
बरहना शहर में कोई नज़र ना आए मुझे।
Torh Kar Jorh Lo Chahe Har Cheej Duniya Ki,
Sabki Marammat Mumkin Hai Aitbaar Ke Siwa.
तोड़ कर जोड़ लो चाहे हर चीज़ दुनिया की,
सब की मरम्मत मुमकिन है ऐतबार के सिवा।