Rishtey (Relations) Shayari Collection

New Two Line Shayari Collection about Relations

Advertisement

Rishtey (Relations) Shayari Collection

Bahut Ajeeb Ho Gaye Hain Yeh Rishte Aajakal,
Sab Fursat Mein Hain Par Waqt Kisi Ke Paas Nahi.
बहुत अजीब से हो गए हैं ये रिश्ते आजकल,
सब फुरसत में हैं पर वक़्त किसी के पास नहीं।

Naye Rishte Jo Na Ban Payein Toh Malaal Mat Karna,
Puraane Tootne Na Payein Bas Itna Khyaal Rakhna.
नए रिश्ते जो न बन पाएं तो मलाल मत करना
पुराने टूटने न पाएं बस इतना ख्याल रखना।

Wahem Se Bhi Aksar Khatm Ho Hate Hain Kuchh Rishte,
Qasoor Har Baar Galtiyon Ka Hi Nahi Hota.
वहम से भी अक्सर खत्म हो जाते हैं कुछ रिश्ते
कसूर हर बार गल्तियों का ही नही होता।

Kuchh Iss Tarah Khubsurat Rishte Tut Jaya Kerte Hain,
Dil Bhar Jata Hai Toh Log Rooth Jaya Karte Hain.
कुछ इस तरह खूबसूरत रिश्ते टूट जाया करते हैं,
दिल भर जाता है तो लोग रूठ जाया करते हैं।

Mashroof Rahne Ka Andaaz Tumhe Tanha Na Kar De Ghalib,
Rishte Fursat Ke Nahi Tawazzo Ke Mohtaaz Hote Hain.
मशरूफ रहने का अंदाज़ तुम्हें तनहा ना कर दे ग़ालिब,
रिश्ते फुर्सत के नहीं तवज्जो के मोहताज़ होते हैं।

Jab Bhi Ho Thodi Fursat Man Ki Baat Kah Dijiye,
Bahut Khamosh Rishte Zyada Dino Tak Zinda Nahi Rahte.
जब भी हो थोड़ी फुरसत मन की बात कह दीजिये,
बहुत ख़ामोश रिश्ते ज़्यादा दिनों तक ज़िंदा नहीं रहते।

Advertisement

Mulakaate Bahut Jaruri Hain Agar Rishte Nibhane Hain,
Lagakar Bhul Jane Se Toh Poudhe Bhi Sukh Jate Hai.
मुलाकातें बहुत जरूरी हैं अगर रिश्ते निभाने हैं,
लगाकर भूल जाने से तो पौधे भी सूख जाते हैं।

Chhupe Chhupe Se Rehte Hain Sare Aam Nahi Hua Karte,
Kuchh Rishtey Jo Ehsaas Hote Hain, Benaam Hua Karte Hain.
छुपे-छुपे से रहते हैं सरेआम नही हुआ करते,
कुछ रिश्ते जो एहसास होते हैं बेनाम हुआ करते।

Agar Rishton Mein Ho Talkhi To Chup Ho Baithhna Behtar,
Gade Murde Ukhadoge Toh Badboo Phail Jayegi.
अगर रिश्तों में हो तल्खी तो चुप हो बैठना बेहतर,
गड़े मुर्दे उखाड़ोगे तो बदबू फैल जायेगी।

Darakhton Se Talluq Ka Hunar Seekh Le Insaan,
Jadon Mein Zakhm Lagte Hain Toh Tehniyan Sookh Jati Hain.
दरख्तों से ताल्लुक का हुनर सीख ले इंसान,
जड़ों में ज़ख्म लगते हैं तो टहनियाँ सूख जाती हैं।

Faasle Iss Kadar Hain AajKal Rishton Mein,
Jaise Koi Ghar Khareeda Ho Kishton Mein.
फासले इस कदर हैं आजकल रिश्तों में,
जैसे कोई घर खरीदा हो किश्तों में।

Kuchh Aise Ho Gaye Hain Iss Daur Ke Rishtey,
Jo Aawaaz Tum Na Do Toh Bolte Woh Bhi Nahi.
कुछ ऐसे हो गए हैं इस दौर के रिश्ते,
जो आवाज तुम ना दो तो बोलते वो भी नहीं।

Majboorion Se LadKar Rishton Ko Sameta Hai,
Kaun Kahta Hai Mujhe Rishte Nibhane Nahi Aate.
मजबूरियों से लड़कर रिश्तों को समेटा है,
कौन कहता है मुझे रिश्तें निभाने नहीं आते।

Jeb Me Jara Sa Soorakh Kya Hua,
Sikkon Se Jyada Rishtey Gir Pade.
जेब में जरा सा सूराख क्या हुआ,
सिक्कों से ज्यादा रिश्ते गिर पड़े।

Two Line Deedar Shayari Collection

Two Line Shayari, Tamanna Kiye Bagair

Comments