2 Line Shayari, Har Shakhs Ke Kabil

नई दो लाइन शायरी हिंदी में

Advertisement

हर शख्स नहीं होता हर शख्स के काबिल,
हर शख्स को अपने लिए सोचा नहीं करते।
Har Shakhs Nahin Hota Har Shakhs Ke Kabil,
Har Shakhs Ko Apne Liye Socha Nahin Karte.

तारीख हजार साल में बस इतनी सी बदली है,
तब दौर पत्थर का था अब लोग पत्थर के हैं।
Tareekh Hajaar Saal Mein Bas Itni Si Badali Hai,
Tab Daur Patthar Ka Tha Ab Log Patthar Ke Hain.

उसके लफ्जों के मुकाबिल मैं भला क्या कहता,
मैंने हैरान ही रहने में सहूलत देखी।
Uske Lafzon Ke Mukaabil Main Bhala Kya Kehta,
Main Ne Hairaan Hi Rehne Mein Sahoolat Dekhi.

Advertisement

दुनिया में कोई लुत्फ करे या जफा करे,
जब मैं न हूँ बला से मेरी कुछ हुआ करे।
Duniya Mein Koi Lutf Kare Ya Jafa Kare,
Jab Main Na Hoon Bala Se Meri Kuchh Hua Kare.

पूछा हाल शहर का तो, सर झुका के बोले,
लोग तो जिंदा हैं, जमीरों का पता नहीं।
Poochha Haal Shahar Ka To, Sar Jhuka Ke Bole,
Log To Zinda Hain, Zamiron Ka Pata Nahin.

Advertisement

Two Line Shayari, Tumne Jara Si Baat Ko

Comments