Two Line Shayari, Tumne Jara Si Baat Ko
Heart Touching Two Line Shayari in Hindi
रुक-रुक के लोग देख रहे है मेरी तरफ,
तुमने जरा सी बात को अखबार कर दिया।
Ruk-Ruk Ke Log Dekh Rahe Hai Meri Taraf,
Tumne Jara Si Baat Ko Akhbaar Kar Diya.

कहाँ मिलता है कभी कोई समझने वाला,
जो भी मिलता है समझा के चला जाता है।
Kahaan Milta Hai Kabhi Koi Samajhne Wala,
Jo Bhi Milta Hai Samajha Ke Chala Jaata Hai.
मैं शहर भर में एक अज़ीयत पसंद हूँ,
गर चाहिए दुआ तो मेरा दिल दुखाइए।
Main Shehar Bhar Mein Ek Aziyat Pasand Hoon,
Gar Chahiye Dua To Mera Dil Dukhaiye.
खूबसूरत थे कभी अब खूब सीरत भी नहीं,
रफ्ता रफ्ता खूबियां सारी जमाना खा गया।
KhoobSoorat The Kabhi Ab Khoob Seerat Bhi Nahin,
Rafta Rafta Khoobiyaan Saari Zamana Kha Gaya.
हमने रोते हुए चेहरे को हँसाया है सदा,
इससे बेहतर इबादत तो नहीं होगी हमसे।
Hum Ne Rote Huye Chehre Ko Hansaya Hai Sadaa,
Iss Se Behtar Ibaadat Toh Nahi Hogi Hum Se.