2 Line Shayari, Nigaahon Se Gir Gaye
Popular Two Line Shayari Status
Advertisement
Girna Tha Jo Aapko Toh Sau Maqaam The,
Ye Kya Kiya Ke Nigaahon Se Gir Gaye.
गिरना था जो आपको तो सौ मक़ाम थे,
ये क्या किया कि निगाहों से गिर गए।

Duniya Fareb Karke HunarMand Ho Gayi,
Hum Aitbaar Karke Gunaahgar Ho Gaye.
दुनिया फ़रेब करके हुनरमंद हो गई,
हम ऐतबार करके गुनाहगार हो गए।
Advertisement
Haal Meethe Falon Ka Na Puchhiye Saahab,
Raat-Din Chaku Ki Nok Pe Rahte Hain.
हाल मीठे फलों का न पूछिये साहब,
रात-दिन चाकू की नोक पे रहते हैं।
Duniya Khareed Legi Har Mod Par Tujhe,
Tu Ne Zamir Bech Kar Achchha Nahi Kiya.
दुनिया खरीद लेगी हर मोड़ पर तुझे.
तूने जमीर बेचकर अच्छा नहीं किया।