Yaad Shayari, Teri Yaad Ke Khazane
Beautiful Shayari about Treasure of Memories
तेरी याद किसी मुफलिस के खजाने कि तरह है,
जिसे हम साथ रखते हैं, जिसे हम रोज गिनते हैं।
Teri Yaad Kisi Muflis Ke Khazane Ki Tarah Hai,
Jise Hum Sath Rakhte Hain, Jise Hum Roj Ginte Hain.

दिल को तुम्हारी याद की आदत है मुस्तक़िल,
अब यूँ करो कि तुम मेरी आदत को छीन लो।
Dil Ko Tumhari Yaad Ki Aadat Hai Mustaqil,
Ab Yoon Karo Ke Tum Meri Aadat Ko Chheen Lo.
तुम भी हो बीते हुए वक्त की तरह हू-ब-हू,
तुम ने भी याद आना है, खुद आना तो है नहीं।
Tum Bhi Ho Beete Huye Waqt Ki Tarah Hu-Ba-Hu,
Tum Ne Bhi Yaad Aana Hai, Khud Aana To Hai Nahi.
यह जालिम हिचकियां थमती क्यों नहीं आखिर,
किसके जहन में आकर यूँ अटक गया हूँ मैं।
Yeh Zalim Hichkiyan Thamti Kyun Nahi Aakhir,
Kiske Zehen Mein Aakar Yoon Atak Gaya Hoon Main.
मेरे मुकद्दर में तो तुम्हारी यादें हैं लेकिन,
तुम जिसके मुकद्दर में हो उसे जिन्दगी मुबारक।
Mere Muqaddar Mein To Tumhari Yaadein Hain Lekin,
Tum Jiske Muqaddar Mein Ho Use Zindagi Mubarak.