Dil Tootne Ka Dard Kya Jaane
Shayari about Pain of Heart Break
Advertisement
तन्हाई का उसने मंजर नहीं देखा,
अफसोस कि मेरे दिल के अंदर नहीं देखा,
दिल टूटने का दर्द वो क्या जाने,
जो ये लम्हा कभी जी कर नहीं देखा।
Tanhai Ka Usne Manzar Nahi Dekha,
Afsos Ki Mere Dil Ke Andar Nahi Dekha,
Dil Tootne Ka Dard Wo Kya Jaane,
Jo Ye Lamha Kabhi Jee Kar Nahi Dekha.

Advertisement
अपने सारे सपने तोड़कर बैठे हैं,
दिल के अरमान छोड़कर बैठे हैं,
न कीजिये हमसे वफा की बातें,
अभी तो दिल के टुकड़े जोड़कर बैठे हैं।
Apne Saare Sapne Todkar Baithe Hain,
Dil Ke Armaan Chhodkar Baithe Hain,
Na Keejiye Humse Wafa Ki Baatein,
Abhi To Dil Ke Tukde Jodkar Baithe Hain.