Chand Shayari, Chaand Ka Dard

Very Nice Shayari about Pain of Moon

Advertisement

Chand Shayari, Chaand Ka Dard

Patthar Ki Duniya Jazbaat Nahi Samjhati,
Dil Mein Kya Hai Wo Baat Nahi Samajhati,
Tanha Toh Chaand Bhi Sitaaron Ke Bheech Mein Hai,
Par Chaand Ka Dard Wo Raat Nahi Samjhati.
पत्थर की दुनिया जज़्बात नहीं समझती,
दिल में क्या है वो बात नहीं समझती,
तनहा तो चाँद भी सितारों के बीच में है,
पर चाँद का दर्द वो रात नहीं समझती।

Advertisement

Aye Chaand Mujhe Bata Tu Mera Kya Lagta Hai,
Kyu Mere Saath Sari Raat Jaga Karta Hai,
Main Toh Ban Baitha Hu Diwana Unke Pyaar Mein,
Kya Tu Bhi Kisi Se Bepanah Mohabbat Karta Hai.
ऐ चाँद मुझे बता तू मेरा क्या लगता है,
क्यूँ मेरे साथ सारी रात जगा करता है,
मैं तो बन बैठा हूँ दीवाना उनके प्यार में,
क्या तू भी किसी से बेपनाह मोहब्बत करता है।

Dhudhta Hun Main Jab Apni Hi Khamoshi Ko,
Mujhe Kuchh Kaam Nahi Duniya Ki Baaton Se,
Aasman De Na Saka Chaand Apne Daaman Ka,
Maangti Reh Gayi Dharti Kayi Raaton Se.
ढूँढता हूँ मैं जब अपनी ही खामोशी को,
मुझे कुछ काम नहीं दुनिया की बातों से,
आसमाँ दे न सका चाँद अपने दामन का,
माँगती रह गई धरती कई रातों से।

Advertisement

Chand Shayari, Kitna Hasin Chaand

Chaand Shayari, Ai Chand Bata

Comments