Dard Shayari, Dard Se Jaan Nikal Do

True Shayaris Expressing Excessive Pain of a Lover

Advertisement

Dard Shayari, Dard Se Jaan Nikal Do

Aarzoo Nahi Ke Gham Ka Tufan Tal Jaye,
Fikr Toh Ye Hai Tera Dil Na Badal Jaye,
Bhulana Ho Agar Mujhko Toh Ek Ehsaan Karna,
Dard Itna Dena Ki Meri Jaan Nikal Jaye.
आरजू नहीं के ग़म का तूफान टल जाये,
फ़िक्र तो ये है तेरा दिल न बदल जाये,
भुलाना हो अगर मुझको तो एक एहसान करना,
दर्द इतना देना कि मेरी जान निकल जाये।

Advertisement

Hum Jale To Sab Chirag Samajh Baithe,
Jab Mehke To Sab Gulaab Samajh Baithe,
Mere Lafzo Ka Dard Kisi Ne Nahi Dekha,
Shayari Parhi Toh Shayar Samajh Baithe.
हम जले तो सब चिराग समझ बैठे,
जब महके तो सब गुलाब समझ बैठे,
मेरे लफ्जों का दर्द किसी ने नहीं देखा,
शायरी पढ़ी तो शायर समझ बैठे।

Aakhir Kyun Banaya Mujhe Aye Banane Wale,
Bahut Dard Dete Hai Yeh Zamaane Wale,
Maine Aag Ke Ujale Mein Kuchh Chehre Dekhe,
Mere Apne Hi The Mere Ghar Ko Jalane Wale.
आखिर क्यूँ बनाया मुझे ऐ बनाने वाले,
बहुत दर्द देते हैं ये ज़माने वाले,
मैंने आग के उजाले में कुछ चेहरे देखे,
मेरे अपने ही थे मेरा घर जलाने वाले।

Dard Shayari, Dard Kise Batayein

Dard Shayari, Raat Ka Dard

Comments