Dost Shayari, Dost Aap Jaise Mila Karte Hain
Beautiful Hindi Shayari for Friend
Diye Toh Aandhi Mein Bhi Jala Karte Hain,
Gulaab Toh Kaanto Mein Bhi Khila Karte Hain,
Khush-Naseeb Bahut Hoti Hai Woh Shaam,
Dost Aap Jaise Jab Mila Karte Hain.
दिए तो आँधी में भी जला करते हैं,
गुलाब तो काँटो में भी खिला करते हैं,
खुशनसीब बहुत होती है वो शाम,
दोस्त आप जैसे जब मिला करते हैं।
Safar Dosti Ka Kabhi Khatm Na Hoga,
Doston Se Yeh Pyar Kabhi Kam Na Hoga,
Dur Rehkar Bhi Jab Rahegi Mahek Iski,
Humein Kabhi Bichhadne Ka Gam Na Hoga.
यह सफ़र दोस्ती का कभी ख़त्म न होगा,
दोस्तों से प्यार कभी कम न होगा,
दूर रहकर भी जब रहेगी महक इसकी,
हमें कभी बिछड़ने का ग़म न होगा।
Khushi Se Dil Ko Aabaad Karna,
Aur Gam Ko DIl Se Aazad Karna,
Humari Bas Itni Gujarish Hai Ke
Din Mein Humein Ek Bar Yaad Karna.
ख़ुशी से दिल को आबाद करना,
और गम को दिल से आजाद करना,
हमारी बस इतनी गुजारिश है कि,
दिन में हमें एक बार याद करना।