Dosti Shayari, Dost Humse Bhi Achchhe Hain
Shayari in Hindi for Best Friend
Duniyadari Mein Hum Thode Kachche Hain,
Par Dosti Ke Muamale Mein Sachche Hain,
Humari Sachayi Bas Iss Baat Par Kayam Hai,
Ki Humare Dost Humse Bhi Achchhe Hain.
दुनियादारी में हम थोड़े कच्चे हैं,
पर दोस्ती के मामले में सच्चे हैं,
हमारी सच्चाई बस इस बात पर कायम है,
कि हमारे दोस्त हमसे भी अच्छे हैं।
Honthon Pe Ulfat Ke Fasane Nahi Aate,
Jo Beet Gaye Phir Woh Jamaane Nahi Aate,
Dost Hi Hote Hain Doston Ke Humdard,
Koyi Farishte Yehan Saath Nibhane Nahi Aate.
होंठों पे उल्फत के फ़साने नहीं आते,
जो बीत गए फिर वो ज़माने नहीं आते,
दोस्त ही होते हैं दोस्तों के हमदर्द,
कोई फ़रिश्ते यहाँ साथ निभाने नहीं आते।
Zindgi Ke Toofanon Ka Sahil Hai Dosti,
Dil Ke Armanon Ki Manzil Hai Dosti,
Zindgi Bhi Ban Jayegi Apni Toh Jannat,
Agar Maut Aane Tak Saath De Dosti.
ज़िंदगी के तूफानों का साहिल है दोस्ती,
दिल के अरमानों की मंज़िल है दोस्ती,
ज़िंदगी भी बन जाएगी अपनी तो जन्नत,
अगर मौत आने तक साथ दे दोस्ती।