Shayari for Friend, Sambhaal Ke Rakhna Dosti
Nice Dosti Shayari in Hindi for Friends
आसमान से उतारी है, तारों से सजाई है,
चांद की चांदनी से नहलाई है,
ऐ दोस्त, संभाल के रखना ये अपनी दोस्ती,
यही तो हमारी जिंदगी भर की कमाई है।
Aasmaan Se Utaari Hai, Taaron Se Sajaai Hai,
Chaand Ki Chaandni Se Nehlaai Hai,
Ai Dost, Sambhaal Ke Rakhna Ye Apni Dosti,
Yehi To Humari Zindagi Bhar Ki Kamaai Hai.
हम अपनी दोस्ती को यादों में सजायेंगे,
दूर रहकर भी आँखों में नजर आयेंगे,
हम कोई वक्त नहीं जो बीत जायेंगे,
जब भी याद करोगे चले आयेंगे।
Hum Apni Dosti Ko Yaadon Mein Sajayenge,
Door Rehkar Bhi Aankhon Mein Najar Aayenge,
Hum Koi Waqt Nahin Jo Beet Jaayenge,
Jab Bhi Yaad Karoge Chale Aayenge.
सवाल पानी का नहीं, प्यास का है,
सवाल मौत का नहीं, सांस का है,
दोस्त तो दुनिया में बहुत है मगर,
सवाल दोस्ती का नहीं, विश्वास का है।
Sawaal Paani Ka Nahin, Pyaas Ka Hai,
Sawaal Maut Ka Nahin, Saans Ka Hai,
Dost To Duniya Mein Bahut Hai Magar,
Sawaal Dosti Ka Nahin, Vishwaas Ka Hai.