Hindi Shayari

Advertisement

GumNaam Rahein To Achchha Hai

Beautiful hindi shayari

Kuchh Rishte Umr Bhar Agar Benaam Rahen Toh Achchha Hai,
Aankho Aankho Me Hi Kuchh Paigaam Rahe Toh Achchha Hai.

Suna Hai Manzil Milte Hi Uski Chahat Mar Jaati Hai,
Gar Yeh Sach Hai Toh Fir Hum Naakam Rahen Toh Achchha Hai.

Jab Mera Humdum Hi Mere Dil Ko Na Pahchhan Saka,
Aisi Duniya Mein Hum Gum-Naam Rahein Toh Achchha Hai.

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Hindi Shayari, Aankho Ki Laali Nahi Jati

दिल को छू जाने वाली बेहतरीन हिंदी शायरी

Aankho Se Mere Isliye Laali Nahi Jati,
Yaadon Se Koyi Raat Khaali Nahi Jati.

Ab Na Umr Na Mausam Na Raste Ke Wo Patte,
Iss Dil Ki Magar Khaam-Khayali Nahi Jati.

Maage Tu Agar Jaan Bhi Toh Hans Ke Tujhe De Du,
Teri Toh Koyi Baat Bhi Taali Nahi Jati.

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Hindi Shayari, Dilkash Najara Doob Jayega

खूबसूरत हिंदी शायरी

Zara Si Der Me Dilkash Najara Doob Jayega,
Ye Sooraj Dekhna Saare Ka Saara Doob Jayega.

Na Jaane Fir Bhi Kyu Sahil Pe Tera Naam Likhte Hain,
Hamein Maloom Hai Ek Din Kinara Doob Jayega.

Safeena Ho Ke Ho Patthar Hain Hum Anzaam Se Waqif,
Tumhara Tair Jayega Humara Doob Jayega.

Samandar Ke Safar Me Kismate Pahloo Badalti Hain,
Agar Tinke Ka Hoga To Sahara Doob Jayega.

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Aadat Shayari, Wo Aadat Baaki Hai

Best Hindi Shayari on Habit (Aadat)

Badi Tabdiliyan Laya Hu
Main Apne Aap Me Lekin,
Bas Tumko Yaad Karne Ki,
Wo Aadat Ab Bhi Baaki Hai!
बड़ी तब्दीलियां लाया हूँ
मैं अपने आप में लेकिन,
बस तुमको याद करने की
वो आदत अब भी वाकी है।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Bachpan Shayari in Hindi

बचपन पर हिंदी शायरी

Hindi Shayari on Bachpan

Jhooth Bolte The Phir Bhi Kitne Sachche The Hum,
Yeh Un Dino Ki Baat Hai Jab Bachche The Hum.
झूठ बोलते थे फिर भी कितने सच्चे थे हम,
ये उन दिनों की बात है जब बच्चे थे हम।

Woh Bachpan Ki Neend To Ab Khwaab Ho Gayi,
Kya Umar Thi Ke Raaat Huyi Aur Hum So Gaaye.
वह बचपन की नींद तो अब ख्वाब हो गयी,
क्या उम्र थी के रात हुयी और हम सो गए।

[ Read More Shayaris ]