काश कि कोई आकर संभाल ले मुझको बाँहो में,
धीरे धीरे खत्म हो रहा हूँ मैं भी दिसंबर की तरह।
Kaash Ke Koi Aakar Sambhal Le Mujhko Baahon Mein,
Dheere-Dheere Khatm Ho Raha Hoon Main Bhi Decembar Ki Tarah.
बहुत से ग़म दिसम्बर में दिसम्बर के नहीं होते,
उसे भी जून का ग़म था मगर रोया दिसम्बर में।
Bahut Se Gham December Mein December Ke Nahi Hote,
Usey Bhi June Ka Gham Tha Magar Roya December Mein.
(Jaun Auliya)
बर्फ़ सी मेरी हथेली को थोड़ी गरमाहट दे जाओ,
कि आ गया है दिसंबर सनम तुम भी आ जाओ।
Barf Si Meri Hatheli Ko Thodi Garamaahat De Jaao,
Ki Aa Gaya Hai Decembar Sanam Tum Bhi Aa Jaao.
ये दिसंबर भी बीतेगा पिछले साल की तरह,
इसे भी तुम्हारी तरह रुकने की आदत नहीं।
Ye Decembar Bhi Beetega Pichhale Saal Ki Tarah,
Ise Bhi Tumhaari Tarah Rukne Ki Aadat Nahin.
लौट आओ कि मेरी साँसे अब तिनका-तिनका बिखरती हैं,
कहीं मेरी जान ना ले ले ये पहली शाम दिसंबर की।
Laut Aao Ki Meri Saanse Ab Tinka-Tinka Bikharte Hain,
Kahin Meri Jaan Na Le Le Ye Pehli Shaam Decembar Ki.
Sad Mausam Shayari, Mausam Ki Adaa