Maut Shayari, Chale Aana Meri Maut Par
आना मेरी मौत पर शायरी
Advertisement
Mohabbat Ke Naam Pe Deewane Chale Aate Hain,
Shama Ke Peeche Parwane Chale Aate Hain,
Tumhe Yaad Na Aaye Toh Chale Aana Meri Maut Par,
Uss Din Toh Begaane Bhi Chale Aate Hain.
मोहब्बत के नाम पे दीवाने चले आते हैं,
शमा के पीछे परवाने चले आते हैं,
तुम्हें याद ना आये तो चले आना मेरी मौत पर,
उस दिन तो बेगाने भी चले आते हैं।
Advertisement
Aankh Ki Yeh Ek Hasrat Thi Ke Bas Poori Huyi,
Aansuon Mein Bheeg Jaane Ki Hawas Poori Huyi,
Aa Rahi Hai Jism Ki Deewar Girne Ki Sadaa,
Ek Ajab Khwahish Thi Jo Ab Ke Baras Poori Huyi.
आँख की ये एक हसरत थी कि बस पूरी हुई,
आँसुओं में भीग जाने की हवस पूरी हुई,
आ रही है जिस्म की दीवार गिरने की सदा,
एक अजब ख्वाहिश थी जो अबके बरस पूरी हुई।