Very Sad Shayari, Hansne Ki Ijazat Na Mili

Sad Emotions of a Tearful Lover in Poetic Form

Advertisement

Sad Shayari, Hansne Ki Ijazat Na Mili

Nafratein Lakh Mili Par Mohabbat Na Mili,
Zindagi Beet Gayi Magar Rahat Na Mili,
Teri Mehfil Mein Har Ek Ko Hansta Dekha,
Ek Main Tha Jise Hasne Ki Ijazat Na Mili.
नफरतें लाख मिलीं पर मोहब्बत न मिली,
ज़िन्दगी बीत गयी मगर राहत न मिली,
तेरी महफ़िल में हर एक को हँसता देखा,
एक मैं था जिसे हँसने की इजाज़त न मिली।

Advertisement

Barson Gujar Gaye Humne RoKar Nahi Dekha,
Aankhon Mein Neend Thi Magar SoKar Nahi Dekha,
Woh Kya Jaane Dard-e-Mohabbat Kya Hai,
Jisne Kabhi Kisi Ka Hokar Nahi Dekha.
बरसों गुजर गए हमने रोकर नहीं देखा,
आँखों में नींद थी मगर सोकर नहीं देखा,
वो क्या जाने दर्द-ए-मोहब्बत क्या है,
जिसने कभी किसी का होकर नहीं देखा।
Sad Emotions Shayari - Barson Gujar Gaye Rokar Nahi Dekha

Main Tere Pyar Se Ghar Apna Basaaun Kaise,
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaaun Kaise,
Meri Kismat Mein Nahin Pyar Ki Khushboo Shayad,
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Nahin Tu Shayad.
मैं तेरे प्यार से घर अपना बसाऊं कैसे,
मैं तेरी मांग सितारों से सजाऊँ कैसे,
मेरी किस्मत में नहीं प्यार की खुश्बू शायद,
मेरे हाथों की लकीरों में नहीं तू शायद।

Muddat Se Jiske Waste Dil BeQarar Tha,
Woh Laut Ke Na Aaya Jiska Intezar Tha,
Manzil Kareeb Aayi Toh Woh Dur Ho Gaya,
Itna Toh Bata Jata Ke Ye Kaisa Pyaar Tha.
मुद्दत से जिसके वास्ते दिल बेकरार था,
वो लौट के ना आया जिसका इंतजार था,
मंजिल करीब आई तो वो दूर हो गया,
इतना तो बता जाता कि ये कैसा प्यार था।

Advertisement

Sad Shayari, Udaas Kar Deti Hai Shaam

Sad Shayari, Jeene Ki Saza Payi

Comments