Usey Jaane Ki Jaldi Thi
Toh Main Aankhon Hi Aankhon Mein,
Jahan Tak Chhod Sakta Tha
Wahan Tak Chhod Aaya Hun.
उसे जाने की जल्दी थी
तो मैं आँखों ही आँखों में
जहाँ तक छोड़ सकता था
वहाँ तक छोड़ आया हूँ।
Yeh Makaam-e-Ishq Hai Kaun Sa
Ke Mijaaj Saare Badal Gaye,
Main Ise Kahoon Bhi Toh Kya Kahoon
Mere Haath Phool Se Jal Gaye.
ये मकाम-ए-इश्क़ है कौन सा
कि मिजाज सारे बदल गए,
मैं इसे कहूँ भी तो क्या कहूँ
मेरे हाथ फूल से जल गए।
Tujhko Bhi Ab Apni Kasamein
Apne Vaade Yaad Nahi,
Hum Bhi Apne Khwaab Teri
Aankhon Mein Rakh Kar Bhool Gaye.
तुझको भी जब अपनी कसमें
अपने वादे याद नहीं,
हम भी अपने ख्वाब तेरी
आँखों में रख कर भूल गए।
Kyun Hijr Ke Shikwe Karta Hai
Kyun Dard Ke Rone Rota Hai,
Ab Ishq Kiya Toh Sabr Bhi Kar
Isme Toh Yehi Sab Hota Hai.
क्यों हिज्र के शिकवे करता है
क्यों दर्द के रोने रोता है,
अब इश्क़ किया तो सब्र भी कर
इस में तो यही कुछ होता है।
Kabhi Hum Mile Toh Bhi Kya Mile
Wahi Dooriya Wahi Fasle,
Na Kabhi Humare Kadam Barhe
Na Kabhi Tumhari Jhijhak Gayi.
कभी हम मिले तो भी क्या मिले
वही दूरियाँ वही फ़ासले,
न कभी हमारे कदम बढ़े
न कभी तुम्हारी झिझक गई।
Sad Shayari, Na Aana Khayal Mein
Sad Shayari, Udaas Kar Deti Hai Shaam