Sad Shayari, Jeene Ki Saza Payi
Read Sad Shayari about Incomplete Love
Anjaam-e-Wafa Ye Hai Jisne Bhi Mohabbat Ki,
Marne Ki Duaa Maangi Jeene Ki Sazaa Payi.
अंजाम-ए-वफ़ा ये है जिसने भी मोहब्बत की,
मरने की दुआ माँगी जीने की सज़ा पाई।

Gujra Hoon Hadsaat Se Lekin Wohi Hoon Main,
Tum Ne To Ek Baat Pe Raaste Badal Liye.
गुजरा हूँ हादसात से लेकिन वही हूँ मैं,
तुम ने तो एक बात पे रस्ते बदल लिए।
Kya Khoob Hi Hota Agar Dukh Ret Ke Hote,
Muththhi Se Gira Dete Pairon Se Uda Dete.
क्या खूब ही होता अगर दुख रेत के होते,
मुठ्ठी से गिरा देते... पैरो से उड़ा देते।
Woh Mil Gaye Toh Bichhadna Padega Phir Se,
Isee Khayal Se Hum Raaste Badalte Rahe.
वो मिल गए तो बिछड़ना पड़ेगा फिर से,
इसी ख्याल से हम रस्ते बदलते रहे।
Mere Muqaddar Ko Bhi Gila Raha Hai MujhSe,
Ke Kisi Aur Ka Hota Toh Sanwar Gaya Hota.
मेरे मुक़द्दर को भी गिला रहा है मुझसे,
कि किसी और का होता तो संवर गया होता।

Kisi Ko Itna Na Chaho Ke Bhula Bhi Na Sako,
Yahan Mijaaj Badalte Hain Mausam Ki Taraha.
किसी को इतना न चाहो कि भुला न सको,
यहाँ मिजाज बदलते हैं मौसम की तरह।