Kuchh Log Pasand Karne Lage Hain Alfaaz Mere,
Matlab... Mohabbat Mein Barbaad Aur Bhi Huye Hain.
कुछ लोग पसंद करने लगे हैं अल्फाज मेरे,
मतलब... मोहब्बत में बरबाद और भी हुए हैं।
Barbaad Ho Ke Yaar Ke Dil Mein Mili Jagah,
Aabaad Kar Gayi Meri Barbaadian Mujhe.
बरबाद होकर यार के दिल में मिली जगह,
आबाद कर गई मेरी बरबादियाँ मुझे।
Teri Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koyi,
Itni Saadgi Se Barbaad Koyi Gair Nahi Karta.
तेरी हालत से लगता है तेरा अपना था कोई,
इतनी सादगी से बरबाद कोई गैर नहीं करता।
Luta Ke Har Cheej Manzil-e-Ishq Ki Raah Mein,
Main Hans Pada Hoon Aaj Khud Ko Barbaad Dekh Ke.
लुटा के हर चीज मंजिल-ए-इश्क की राह में,
मैं हँस पड़ा हूँ आज खुद को बरबाद करके।
Farishte Hi Honge JinKa Hua Ishq Muqammal,
Insano Ko Toh HumNe Sirf Barbaad Hote Dekha Hai.
फ़रिश्ते ही होंगे जिनका हुआ इश्क मुकम्मल,
इंसानों को तो हमने सिर्फ बर्बाद होते देखा है।
Waah Re Ishq Teri Masumiyat Ka Jawab Nahi,
Hansa Kar Karta Hai Barbaad Tu Masoom Logon Ko.
वाह रे इश्क़ तेरी मासूमियत का जवाव नहीं,
हँसा कर करता है बर्बाद तू मासूम लोगो को।
Hota Hai Jis Jagah Meri Barbaadiyon Ka Zikr,
Tera Bhi Naam Leti Hai Duniya Kabhi-Kabhi.
होता है जिस जगह मेरी बर्बादियों का जिक्र,
तेरा भी नाम लेती है दुनिया कभी-कभी।
Na Jaane Kis Tarah Ke Hain Iss Duniya Ke Log Bhi,
Pyar Bhi Pyar Se Karte Hain Aur Barbaad Bhi Pyar Se.
न जाने किस तरह के हैं दुनिया के लोग भी,
प्यार भी प्यार से करते हैं और बर्बाद भी प्यार से।
Waise Toh Tumhein Ne Mujhe Barbaad Kiya Hai,
Ilzaam Kisi Aur Ke Sar Aaye Toh Achchha.
वैसे तो तुम्हीं ने मुझे बर्बाद किया है
इल्ज़ाम किसी और के सर जाए तो अच्छा।
Sad Shayari, Mohabbat Ki Takleef
Sad Shayari, Uske Bagair Zindagi