Sad Shayari, Tu Badal Gaya Halat Ki Tarah
Shayari in Hindi for a Broken Heart Lover
Zindgi Se Meri Aadat Nahi Milti,
Mujhe Jeene Ki Surat Nahi Milti,
Koyi Mera Bhi Kabhi Humsafar Hota,
Mujhe Hi Kyun Mohabbat Nahi Milti.
ज़िन्दगी से मेरी आदत नहीं मिलती,
मुझे जीने की सूरत नहीं मिलती,
कोई मेरा भी कभी हमसफ़र होता,
मुझे ही क्यूँ मुहब्बत नहीं मिलती।
Gujre Dino Ki Bhooli Huyi Baat Ki Tarah,
Aankho Mein Jagta Hai Koyi Raat Ki Tarah,
Us Se Umeed Thi Ki Nibhayega Saath Wo,
Wo Bhi Badal Gaya Mere Halaat Ki Tarah.
गुज़रे दिनों की भूली हुई बात की तरह,
आँखों में जागता है कोई रात की तरह,
उससे उम्मीद थी की निभाएगा साथ वो,
वो भी बदल गया मेरे हालात की तरह।
Ek Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai,
Jane Zalim Ne Kis Baat Ka Bura Mana Hai,
Main Toh Ziddi Hoon Toh Wo Bhi Kuchh Kam Nahi,
Mere Kahne Par Kahan Usne Chale Jana Hai.
एक मुद्दत से मेरे हाल से बेगाना है,
जाने ज़ालिम ने किस बात का बुरा माना है,
मैं जो ज़िद्दी हूँ तो वो भी कुछ कम नहीं,
मेरे कहने पर कहाँ उसने चले आना है।