Sad Shayari, Khud Se Nahin Fursat
Sadness of Heart Expressed in Few Words
Jise Khud Se Hi Nahin Fursatein,
Jise Khayal Apne Kamaal Ka,
Usey Kya Khabar Mere Shauq Ki,
Usey Kya Pata Mere Haal Ka.
जिसे खुद से ही नहीं फुरसतें,
जिसे खयाल अपने कमाल का,
उसे क्या खबर मेरे शौक़ की,
उसे क्या पता मेरे हाल का।
Kuchh Unki Wafaaon Ne Loota,
Kuchh Unki Inayat Maar Gayi,
Hum Raaz-e-Mohabbat Kah Na Sake,
Chup Rahne Ki Aadat Maar Gayi.
कुछ उनकी वफ़ाओं ने लूटा,
कुछ उनकी इनायत मार गई,
हम राज़-ए-मोहब्बत कह न सके,
चुप रहने की आदत मार गई।
Na Kisi Ke Dil Ki Hoon Aarzoo,
Na Kisi Najar Ki Hoon Justjoo,
Main Woh Phool Hoon Jo Udaas Hai,
Na Bahaar Aaye Toh Kya Karoon.
न किसी के दिल की हूँ आरजू,
न किसी नज़र की हूँ जुस्तजू,
मैं वो फूल हूँ जो उदास है,
ना बहार आए तो क्या करूँ।