Teri Wafa Ke Takaaje Badal Gaye Varna,
Meujhe Toh Aaj Bhi Tujhse Ajeej Koi Nahi.
तेरी वफ़ा के तकाजे बदल गये वरना,
मुझे तो आज भी तुझसे अजीज कोई नहीं।
Kya Ajeeb Khel Hai Iss Mohabbat Ka Bhi,
Kisi Ko Hum Na Mile Aur Koi Humein Na Mila.
क्या अजीब खेल है इस मोहब्बत का भी,
किसी को हम न मिले और कोई हमें न मिला।
Mere Kisse Sar-e-Bazaar Uchhaale Usne,
Jis Ka Har Aib Zamaane Se Chhupaya Maine.
मेरे किस्से सर-ए-बाज़ार उछाले उसने,
जिस का हर ऐब ज़माने से छुपाया मैंने।
Meri Bahar-o-Khizan Jiske Ikhtiyar Mein Thi,
Mijaaz Uss Dil-e-BeIkhtiyar Ka Na Mila.
मेरी बहार-ओ-खिज़ां जिसके इख्तियार में थी,
मिजाज़ उस दिल-ए-बेइख्तियार का न मिला।
Sayad Ki Idhar Aake Koi Laut Gaya Hai,
Betaabi Se Yun Munh Ko Kaleja Nahi Aata.
शायद कि इधर आके कोई लौट गया है,
बेताबी से यूं मुंह को कलेजा नहीं आता।
Na Koi Fasaana Chheda Na Koi Baat Huyi,
Kehne Ko Keh Lijiye Ke Mulakaat Huyi.
न कोई फसाना छेड़ा न कोई बात हुई,
कहने को कह लीजिये कि मुलाकात हुई।
Ahmiyat Yahan Haisiyat Ko Milti Hai,
Hum Hain Ke Apne Jazbat Liye Firte Hain.
अहमियत यहाँ हैसियत को मिलती है,
हम है कि अपने जज्बात लिए फिरते हैं।
Sad Shayari, Mera Khayal Na Aaya
Sad Shayari, Ranj-e-Safar Ki Nishaani