Two Line Shayari, Aks-e-Khushbu Hun
Favourite Two Liner Shayari
Aks-e-Khushbu Hun Bikharne Se Na Roke Koi,
Aur Bikhar Jaaun Toh Mujhko Na Samete Koi.
अक्स-ए-ख़ुशबू हूँ बिखरने से न रोके कोई,
और बिखर जाऊँ तो मुझको न समेटे कोई।
Tareef Apne Aap Ki Karna Fizool Hai,
Khushboo Khud Bata Deti Hai Kaun Sa Phool Hai.
तारीफ़ अपने आप की करना फ़िज़ूल है,
ख़ुशबू खुद बता देती है कौन सा फ़ूल है।
Mujhse Bahut Kareeb Hai Tu Phir Ai Muneer,
Parda Sa Koyi Tere Mere Darmiyan Toh Hai.
मुझसे बहुत करीब है तू फिर भी ऐ मुनीर,
पर्दा सा कोई मेरे तेरे दरमियाँ तो है।
Mana Ke Iss Zamin Ko Na Gulzar Kar Sake,
Kuchh Khaar Kam Kar Gaye Gujre Jidhar Se Hum.
माना कि इस ज़मीं को न गुलज़ार कर सके,
कुछ ख़ार कम कर गए गुजरे जिधर से हम।
Suna Hai Ab Bhi Mere Hathon Ki Lakeeron Mein,
Najumiyon Ko Muqaddar Dikhayi Deta Hai.
सुना है अब भी मेरे हाथ की लकीरों में,
नजूमियों को मुक़द्दर दिखाई देता है।
Jal Ke Aashiyan Apna Khaak Ho Chuka Kab Ka,
Aaj Tak Yeh Aalam Hai Roshni Se Darrte Hain.
जल के आशियाँ अपना ख़ाक हो चुका कब का,
आज तक ये आलम है रोशनी से डरते हैं।