Zamana Shayari Collection

Best Two Line Zamana Shayari in Hindi

Advertisement

Wohi Zamin Hai Wohi Asmaan Wohi Hum Tum,
Sawal Ye Hai Zamana Badal Gaya Kaise.
वही ज़मीन है वही आसमान वही हम तुम,
सवाल यह है ज़माना बदल गया कैसे।

Zamana Shayari in Hindi

Chalo Ki Hum Bhi Zamane Ke Saath Chalte Hain,
Nahin Badalta Zamana To Hum Hi Badalte Hain.
चलो कि हम भी ज़माने के साथ चलते हैं,
नहीं बदलता ज़माना तो हम ही बदलते हैं।

Kabhi Toh Apne Andar Bhi Khamiyaan Dhunde,
Zamana Mere Girebaan Mein Jhaankta Kyu Hai.
कभी तो अपने अन्दर भी कमियां ढूढ़े,
ज़माना मेरे गिरेबान में झाँकता क्यूँ हैं।

Advertisement

Unchi Imaaraton Se Makaan Mera Ghir Gaya,
Kuchh Log Mere Hisse Ka Suraj Bhi Kha Gaye.
ऊँची इमारतों से मकान मेरा घिर गया​,
​कुछ लोग मेरे हिस्से का सूरज भी खा गए।

Zamana Toh Bade Shauk Se Sun Raha Tha,
Hum Hi Ro Pade Daastan Kahte Kahte.
ज़माना तो बड़े शौक से सुन रहा था,
हम ही रो पड़े दास्ताँ कहते कहते।

Saari Fitrat Toh Naqabon Mein Chhupa Rakhi Hai,
Sirf Tasveer Ujalon Mein Laga Rakhi Hai.
सारी फितरत तो नकाबों में छुपा रखी थी​,
​सिर्फ तस्वीर उजालों में लगा रखी थी।

Schchai Thi Pehle Ke Logon Ki Jubano Mein,
Sone Ke Darwaje The Mitti Ke Makaano Mein.
सच्चाई थी पहले के लोगों की जुबानों में,
सोने के थे दरवाजे मिट्टी के मकानों में।

Advertisement

Two Line Shayari, Aks-e-Khushbu Hun

Two Line Shayari, Sookhe Huye Shajar Ko

Comments