Two Line Shayari, Na Fursat Na Khayal

दिल को छू जाने वाली नई दो लाईन शायरी

Advertisement

Two Line Shayari, Na Fursat Na Khayal

Gujar Gaya Aaj Ka Din Bhi Pehle Ki Tarah,
Na Humko Fursat Mili Na Unhein Khayal Aaya.
गुज़र गया आज का दिन भी पहले की तरह,
न हमको फुर्सत मिली न उन्हें ख्याल आया।

Wo Zehar Deta Toh Duniya Ki Najron Mein Aa Jata,
So Usne Yoon Kiya Ke Waqt Par Davaa Na Di.
वो ज़हर देता तो दुनिया की नजरों में आ जाता,
सो उसने यूँ किया कि वक़्त पे दवा न दी।

Advertisement

Shabdon Ke Ittefak Mein Yun Badlaav Kar Ke Dekh,
Tu Dekh Kar Na Muskura Bas Muskura Ke Dekh.
शब्दों के इत्तेफाक़ में यूँ बदलाव करके देख,
तू देख कर न मुस्कुरा बस मुस्कुरा के देख।

Kahin Jarurat Se Kam Toh Kahin Jarurat Se Jyada,
Ai Kudrat Tujhe Hisaab-Kitaab Karna Nahin Aata.
कहीं जरूरत से कम तो कहीं जरूरत से ज्यादा,
ऐ कुदरत तुझे हिसाब-किताब करना नहीं आता।

Kuchh To Aisa Hai Jo Wo Hum Se Nahi Kehte,
Har Ek Baat Pe Jo Mujh Ko Sahi Kehte Hain.
कुछ तो ऐसा है जो वो हम से नहीं कहते,
हर एक बात पे जो मुझ को सही कहते हैं।

Advertisement

Mirza Ghalib Ki Two Line Sad Shayari

Aadat Shayari, Muskurane Ki Aadat

Comments