Two Line Shayari, Meri Shayari Ka Asar

Beautiful Hindi Lines about Shero-Shayari

Advertisement

Two Line Shayari, Meri Shayari Ka Asar

Meri Shayari Ka Asar Unpe Ho Bhi Toh Kaise Ho?
Ki Main Ehsaas Likhta Hun Woh Alfaz Parhte Hain.
मेरी शायरी का असर उनपे हो भी तो कैसे हो ?
कि मैं एहसास लिखता हूँ तो वो अल्फाज़ पढ़ते हैं।

Humari ‪Shayari‬ Parh Kar Bas Itna Hi Bole Woh,
‪Kalam‬ Chheen Lo Inse ‪Lafz‬ ‪Dil‬ Cheer Dete Hai.
हमारी शायरी पढ़कर बस इतना ही बोले वो,
कलम छीन लो इनसे लफ्ज़ दिल चीर देते हैं।

Mila Kya Humein Saari Umr Mohabbat Karke,
Bas Ek Shayari Ka Hunar Ek Raato Ka Jagna.
मिला क्या हमें सारी उम्र मोहब्बत करके,
बस एक शायरी का हुनर एक रातों का जागना।

Na Main Shayar Hun Na Mera Shayari Se Koi Wasta,
Bas Shauq Ban Gaya Hai Teri Bewafai Bayan Karna.
न मैं शायर हूँ न मेरा शायरी से कोई वास्ता,
बस शौक बन गया है तेरी बेवफाई बयाँ करना।

Advertisement

Chand Alfaz Mein Bayaan Kar Deti Hai Haale-Dil,
Yeh Shayari Bhi Bade Kaam Ki Cheej Hai.
चंद अल्फाज़ में बयां कर देती है हाले-दिल,
ये शायरी भी चीज बड़े काम की है।

Wakai Patthar Dil Hi Hote Hain Hum Diljale Shayar,
Varna Apni Aah Par Waah SunNa Koi Mazaak Nahi.
वाकई पत्थर दिल ही होते हैं हम दिलजले शायर,
वर्ना अपनी आह पर वाह सुनना कोई मज़ाक नहीं।

Sher-o-Sukhan Kya Koi Bachchon Ka Khel Hai?
Jal Jaati Hain Jawaniyan Lafzon Ki Aag Mein.
शेर-ओ-सुखन क्या कोई बच्चों का खेल है?
जल जातीं हैं जवानियाँ लफ़्ज़ों की आग में।

Hum Toh Shayari Hain Siyasat Nahi Aati Humko,
Humse Munh DekhKar Lehja Nahi Badla Jata.
हम तो शायर हैं सियासत नहीं आती हमको,
हम से मुँह देखकर लहजा नहीं बदला जाता।

Apni Tasvir Banaoge Toh Hoga Tumhein Ehsaas,
Kitna Dushwar Hai Khud Ko Koi Chehra Dena.
अपनी तस्वीर बनाओगे तो होगा एहसास,
कितना दुश्वार है खुद को कोई चेहरा देना।

Advertisement

Two Line Shayari, Saadgi Ka Nuksaan

Two Line Shayari, Gunaah Ujagar Nahi Hote

Comments