Two Line Shayari, Saadgi Ka Nuksaan

Telling Shayaris in Two Lines

Advertisement

Two Line Shayari, Saadgi Ka Nuksaan

Koi Tabeez Aisa Do Ki Main Chalaak Ho Jaun,
Bahut Nuksaan Deti Hai Mujhe Yeh Saadgi Meri.
कोई ताबीज़ ऐसा दो कि मैं चालाक हो जाऊं,
बहुत नुकसान देती है मुझे ये सादगी मेरी।

Waqif Tha Meri Khana-Kharabi Se Woh Shakhs,
Jo Mujhse Mere Ghar Ka Pataa Puchh Raha Tha.
वाकिफ था मेरी खाना-खराबी से वो शख्स,
जो मुझसे मेरे घर का पता पूछ रहा था।

Advertisement

Iss Bheed Mein Apna Najar Aaye Koi MujhKo,
Main Gunshuda Bachche Ki Tarah Khaufjada Hoon.
इस भीड़ में अपना नजर आये कोई मुझको,
मैं गुमशुदा बच्चे की तरह खौफज़दा हूँ।

Khone Ke Dahshat Aur Paane Ki Chahat Na Hoti,
Toh Na Khuda Hota Koi Na Ibaadat Hoti.
खोने की दहशत और पाने की चाहत न होती,
तो ना ख़ुदा होता कोई और न इबादत होती।

Umeedi-NaUmeedi Ka Waham Hona Wahi Jaane,
Ke Jisne Kashtiyon Ko Doobte Dekha Ho Sahil Par.
उम्मीदी-नाउम्मीदी का वहम होना वही जाने,
कि जिसने कश्तियों को डूबते देखा हो साहिल पर।

Advertisement

Two Line Shayari, Chirag Aur Hawa

Two Line Shayari, Meri Shayari Ka Asar

Comments