Badi Gustakh Hai Tumhari Yaad Ise Tameez Sikha Do,
Dastak Bhi Nahi Deti Aur Dil Mein Utar Jati Hai.
बड़ी गुस्ताख है तुम्हारी याद इसे तमीज सिखा दो,
दस्तक भी नहीं देती और दिल में उतर जाती है।
Na Main Shayar Hun Na Shayari Se Koyi Wasta,
Shauk Ban Gaya Hai Teri Yaadon Ko Bayaan Karna.
ना मैं शायर हूँ ना मेरा शायरी से कोई वास्ता,
शौक बन गया है तेरी यादो को बयान करना।
Main Apni Chahton Ka Hissa Jo Lene Baith Jayun,
Toh Sirf Mera Yaad Karna Bhi Na Lauta Sakoge.
मैं अपनी चाहतों का हिस्सा जो लेने बैठ जाऊं,
तो सिर्फ मेरा याद करना भी ना लौटा सकोगे।
Kuchh Naye Sapne Usi Ke Dekhna Hai Phir Mujhe,
So Gaya Hun Main BahaKar Jiski Yaadein Aankh Se.
कुछ नये सपने उसी के देखना है फिर मुझे,
सो गया हूँ मैं बहा कर जिसकी यादें आँख से।
Jahan Bhuli Huyi Yaadein Daman Thaam Len Dil Ka,
Wahan Se Ajnabi Bankar Gujar Jana Hi Achha Hai.
जहाँ भूली हुई यादें दामन थाम लें दिल का,
वहां से अजनबी बन कर गुज़र जाना ही अच्छा है।
Sisakte Hain Akele Mein Mere Kamre Ke Sab Parde,
Na Teri Yaad Jaati Hai Na Mera Dum Nikalta Hai.
सिसकते हैं अकेले में मेरे कमरे के सब परदे,
न तेरी याद जाती है न मेरा दम निकलता है।
Yaadon Ko Dil Se Mitaoge Toh Nahi
Yaad Shayari, Woh Aur Bhi Yaad Aane Lage