Bewafa Shayari, Mohabbat Ho Jaye Use
Bewafai SMS Shayari in Hindi for Girlfriend & Boyfriend
Khuda Ne Puchha Kya Saza Doon Uss Bewafa Ko,
Dil Ne Kaha Mohabbat Ho Jaye Use Bhi.
खुदा ने पूछा क्या सज़ा दूँ उस बेवफ़ा को,
दिल ने कहा मोहब्बत हो जाए उसे भी।

Jaate-Jaate Uske Aakhiri Alfaz Yahi The,
Jee Sako Toh Jee Lena Mar Jaao Toh Behtar Hai.
जाते-जाते उसके आखिरी अल्फाज़ यही थे,
जी सको तो जी लेना मर जाओ तो बेहतर है।
Wakif Toh The Teri Bewafai Ki Aadat Se,
Chaha Isliye Ke Teri Fitrat Badal Jaye.
वाकिफ तो थे तेरी बेवफ़ाई की आदत से,
चाहा इसलिए कि तेरी फितरत बदल जाये।
Humse Na Kariye Baatein Yun Berukhi Se Sanam,
Hone Lage Ho Kuchh Kuchh Bewafa Se Tum.
हमसे न करिये बातें यूँ बेरुखी से सनम,
होने लगे तो कुछ कुछ बेवफा से तुम।
Ungliyan Aaj Bhi Isee Soch Mein Gum Hain,
Ke Kaise Usne Naye Haath Ko Thama Hoga.
उँगलियाँ आज भी इसी सोच में गुम हैं,
कि कैसे उसने नए हाथ को थामा होगा।
Kaise Bura Kah Doon Teri Bewafai Ko,
Yahi Toh Hai Jisne Mujhe MashHoor Kiya Hai.
कैसे बुरा कह दूँ तेरी बेवफाई को,
यही तो है जिसने मुझे मशहूर किया है।