
Tu Bhi Auro Ki Tarah Mujhse Kinara Kar Le,
Saari Dunia Se Bura Hun Tere Kaam Ka Nahi.
तू भी औरों की तरह मुझसे किनारा कर ले,
सारी दुनिया से बुरा हूँ तेरे काम का नहीं।
Haan Mujhe Rasm-e-Mohabbat Ka Saleeka Hi Nahi,
Ja Kisi Aur Ka Hone Ki Ijazat Hai Tujhe.
हाँ मुझे रस्म-ए-मोहब्बत का सलीक़ा ही नहीं,
जा किसी और का होने की इजाज़त है तुझे।

