Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De,
Aisa Kar Aye Khuda Meri Hasti Mita De,
Yun Ghut-Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar Hai,
Main Kabhi Na Jagun Mujhe Aisi Neend Sula De.
कितना और दर्द देगा बस इतना बता दे,
ऐसा कर ऐ खुदा मेरी हस्ती मिटा दे,
यूं घुट घुट के जीने से तो मौत बेहतर है,
मैं कभी न जागूं मुझे ऐसी नींद सुला दे।
Yeh Zameen Jab Khoon Se Tar Ho Gayi Hai,
Zindagi Kahte Hain Behtar Ho Gayi Hai,
Haath Par Mat Kheench BeMatlab Lakeeren,
Maut Har Pal Ab Muqaddar Ho Gayi Hai.
ये जमीं जब खून से तर हो गयी है,
ज़िंदगी कहते हैं बेहतर हो गयी है,
हाँथ पर मत खींच बेमतलब लकीरें,
मौत हर पल अब मुक़द्दर हो गयी है।
Maut Shayari, Marne Ka Shauk
Maut Shayari, Woh Kafan Ka Saamaan Le Aaye