Sad Shayari, Chahat Par Ikhtiyar

Sad Hindi Shayari on Chaahat

Advertisement

Kitna Ikhtiyar Tha Usse Apni Chaahat Par,
Jab Chaaha Yaad Kiya Jab Chaaha Bhula Diya,
Janta Hai Woh Mujhe Bahlane Ke Tareeke,
Jab Chaaha Hansa Diya Jab Chaaha Rula Diya.
कितना इख़्तियार था उसे अपनी चाहत पर,
जब चाहा याद किया जब चाहा भुला दिया,
जानता है वो मुझे बहलाने के तरीके,
जब चाहा हँसा दिया जब चाहा रुला दिया।

Advertisement

Pyaas Dil Ki Bujhaane Kabhi Aaya Bhi Nahi,
Kaisa Baadal Hai Jiska Koi Saya Bhi Nahi,
Berukhi Iss Se Badi Aur Bhala Kya Hogi,
Ek Muddat Se Humein Uss Ne Sataya Bhi Nahi.
प्यास दिल की बुझाने कभी आया भी नहीं,
कैसा बादल है जिसका कोई साया भी नहीं,
बेरुख़ी इस से बड़ी और भला क्या होगी,
एक मुद्दत से हमें उस ने सताया भी नहीं।

Dil Pe Kya Gujri Woh Anjaan Kya Jaane,
Pyar Kise Kehte Hain Woh Naadan Kya Jane,
Hawa Ke Saath Ud Gaya Ghar Iss Parinde Ka,
Kaise Bana Tha Ghonsla Woh Tufaan Kya Jaane.
दिल पे क्या गुज़री वो अनजान क्या जाने,
प्यार किसे कहते हैं वो नादान क्या जाने,
हवा के साथ उड़ गया घर इस परिंदे का,
कैसे बना था घोंसला वो तूफान क्या जाने।

Advertisement

Sad Shayari, Kisi Ki Raah Mein Aankhein

Sad Shayari, Na Gam Ki Khushi Mujhe

Comments