Sad Shayari, Na Gam Ki Khushi Mujhe
Very Sad Shayari in Hindi
Ab Toh Khushi Ka Gam Hai Na Gam Ki Khushi Mujhe,
Be-His Bana Chuki Hai Bahut Zindagi Mujhe,
Woh Waqt Bhi Khuda Na Dikhaye Kabhi Mujhe,
Ke Unki Nadamaton Pe Ho Sharmindgi Mujhe.
अब तो ख़ुशी का ग़म है न ग़म की ख़ुशी मुझे,
बे-हिस बना चुकी है बहुत ज़िंदगी मुझे,
वो वक़्त भी ख़ुदा न दिखाए कभी मुझे,
कि उन की नदामतों पे हो शर्मिंदगी मुझे।
Aaj Phir Aapke Pyar Mein Kami Dekhi,
Chaand Ki Chaandni Mein Kuchh Nami Dekhi,
Udaas Hokar Laut Aaye Uss Waqt Hum,
Jab Mehfil Aapki Gairon Se Saji Dekhi.
आज फिर आपके प्यार में कमी देखी,
चाँद की चाँदनी में कुछ नमी देखी,
उदास होकर लौट आए उस वक़्त हम,
जब महफ़िल आपकी गैरों से सजी देखी।
Hum Toh Maujood The Raat Mein Ujalon Ki Tarah,
Log Nikle Hi Nahi Dhoodhne Walon Ki Tarah,
Dil Toh Kya Hum Rooh Mein Bhi Utar Jaate,
Usne Chaha Hi Nahi Chahne Walon Ki Tarah.
हम तो मौजूद थे रात में उजालों की तरह,
लोग निकले ही नहीं ढूढ़ने वालों की तरह,
दिल तो क्या हम रूह में भी उतर जाते,
उस ने चाहा ही नहीं चाहने वालों की तरह।