Sad Shayari, Ek Aur Fareb

Nice Collection of Two Line Sad Shayari in Hindi and English Font

Advertisement

Sad Shayari, Ek Aur Fareb

Nahi Hota Yakeen Phir Bhi Kar Hi Leta Hun,
Jahan Itne Hue Ek Aur Fareb Ho Jane Do.
नहीं होता यकीन फिर भी कर ही लेता हूँ,
जहाँ इतने हुए एक और फरेब हो जाने दो।

Shayad Isi Ko Kehte Hain Majburi-E-Hayat,
Ruk Si Gayi Hai Umr-e-Gurejan Tere Bagair.
शायद इसी को कहते हैं मजबूरी-ए-हयात,
रुक सी गयी है उम्र-ए-गुरेजां तेरे बगैर।

Doobi Hain Meri Ungliya Khud Apne Lahu Me,
Ye Kaanch Ke Tukdon Ko Uthane Ki Saza Hai.
डूबी हैं मेरी उँगलियाँ खुद अपने लहू में,
ये काँच के टुकड़ों को उठाने के सज़ा है।

Advertisement

Rah-E-Wafa Mein Kiska Kisne Diya Hai Saath,
Tum Bhi Chale Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale.
राह-ए-वफ़ा में किसका किसने दिया है साथ,
तुम भी चले चलो यूँ ही जब तक चली चले।

Marham Na Sahi Ek Zakhm Hi De De,
Mahsoos To Ho Ke Koyi Hame Bhoola Nahi.
मरहम न सही एक ज़ख्म ही दे दे,
महसूस तो हो के कोई हमें भूला नहीं।

Wo Katra-Katra Mujhe Tabaah Karte Gaye,
Hum Resha-Resha Unn Par Nisaar Hote Gaye.
वो कतरा-कतरा मुझे तबाह करते गये,
हम रेशा-रेशा उन पर निसार होते गए।

Na Zakhm Bhare Na Sharab Sahara Huyi,
Na Woh Wapas Laute Na Mohabbat Dobara Huyi.
ना ज़ख्म भरे... ना शराब सहारा हुई...
ना वो वापस लौटे ना मोहब्बत दोबारा हुई।

Advertisement

Sad Shayari, Mujh Par Karo Sitam

Sad Shayari, Dillagi Thi Use Hum Se

Comments