Idhar Se Aaj Woh Gujre Toh Munh Phere Hue Gujre
Ab Unn Se Bhi Humari Bekasi Dekhi Nahi Jaati.
इधर से आज वो गुजरे तो मुँह फेरे हुए गुजरे,
अब उन से भी हमारी बेकसी देखी नहीं जाती।
Woh Kab Ka Bhul Chuka Hoga Humari Wafa Ka Kissa,
Bichhad Ke Kisi Ko Kisi Ka Khyal Kab Rahta Hai.
वो कब का भूल चुका होगा हमारी वफ़ा का किस्सा,
बिछड़ के किसी को किसी का ख्याल कब रहता है।
Hansi Yun Hi Nahi Aayi Hai Iss Khamosh Chehre Par,
Kayi Zakhmo Ko Seene Mein Dafan Kar Diya Humne.
हँसी यूँ ही नहीं आई है इस ख़ामोश चेहरे पर,
कई ज़ख्मों को सीने में दफ़न कर दिया हमने।
Najar-Andaz Karte Ho Lo Hat Jate Hain Nazron Se,
Inhi Najron Se Dhundhoge Najar Jab Hum Na Aayenge.
नजर-अंदाज़ करते हो लो हट जाते हैं नजरों से,
इन्हीं नजरों से ढूंढ़ोगे नजर जब हम न आयेंगे।
Khushk Honthhon Se Hua Karti Hain Meethhi Baatein
Pyaas Bujh Jaye Toh Lahje Bhi Badal Jate Hain.
खुश्क होंठों से हुआ करती हैं मीठी बातें,
प्यास बुझ जाये तो लहजे भी बदल जाते हैं।
Bahut Mashroof Ho Shayad Jo Humko Bhul Baithe Ho,
Na Yeh Puchha Kahan Pe Ho Na Yeh Jana Ki Kaise Ho.
बहुत मसरूफ हो शायद जो हम को भूल बैठे हो,
न ये पूछा कहाँ पे हो न यह जाना के कैसे हो।
Ab Kyun Takleef Hoti Hai Tumhien Iss Berukhi Se,
Tumhin Ne Toh Sikhaya Hai Ke Dil Kaise Jalate Hain.
अब क्यूँ तकलीफ होती है तुम्हें इस बेरुखी से,
तुम्हीं ने तो सिखाया है कि दिल कैसे जलाते हैं।
Na Khwahishe Hain Na Shikwe Hain Ab Na Gham Hai Koi,
Yeh Bekhudi Bhi Kaise Kaise Gul Khilati Hai.
न ख्वाहिशें हैं न शिकवे हैं अब न ग़म हैं कोई,
ये बेख़ुदी भी कैसे कैसे ग़ुल खिलाती है।
Sad Shayari, Tere Haath Mein Patthar
Sad Shayari, Woh Bajaar Mein Bik Gaye