Na Khushi Ki Talaash Hai Na Gham-e-Nijaat Ki Aarzoo,
Main Khud Se Bhi Naraaj Hun Teri Naraajgi Ke Baad.
न ख़ुशी की तलाश है न ग़म-ए-निजात की आरज़ू,
मैं खुद से भी नाराज हूँ तेरी नाराज़गी के बाद।
Puchha Tha Haal Unhonein Meri Badi Muddaton Ke Baad,
Kuchh Gir Gaya Hai Aankh Mein Keh Kar Hum Ro Pade.
पूछा था हाल उन्होंने मेरा बड़ी मुद्दतों के बाद,
कुछ गिर गया है आँख में कह कर हम रो पड़े।
Kahani Ban Ke Jiye Hain Woh Dil Ke Aashiyane Mein,
Humko Bhi Lagegi Shadiyan Shayad Unhein Bhulane Mein.
कहानी बन के जियें हैं वो दिल के आशियानों में,
हमको भी लगेगी सदियाँ शायद उन्हें भुलाने में।
Tumne Soch Liya Mil Jayenge Bahut Chahne Wale,
Yeh Bhi Soch Lete Ki Fark Hota Hai Chahto Mein Bhi.
तुमने सोच लिया मिल जायेंगे बहुत चाहने वाले,
ये भी सोच लेते कि फर्क होता है चाहतों में भी।
Sher-o-Shayari Toh Dil Behlane Ka Jaria Hai Janab,
Lafz Kagaj Par Utarne Se Mahboob Lauta Nahi Karte.
शेर-ओ-शायरी तो दिल बहलाने का ज़रिया है जनाब,
लफ़्ज़ काग़ज़ पर उतारने से महबूब लौटा नहीं करते।
Jara Sa Jhaank Kar Toh Dekhiye Veeran Aankhon Mein,
Sabhi Ehsaas Aankhon Ki Nami Se Tay Nahi Hote.
जरा सा झाँक कर तो देखिये वीरान आँखों में,
सभी एहसास आँखों की नमी से तय नहीं होते।
Gardish-e-Dauraan, Zamane Ki Najar, Aankhon Ki Neend,
Kitne Dushman Ek Rasm-e-Mohabbat Se Ho Gaye.
गर्दिश-ए-दौरां, ज़माने की नज़र, आँखों की नींद,
कितने दुश्मन इक रस्म-ए-मोहब्बत से हो गये।
Sad Shayari, Simat Gayi Meri Ghazal
Sad Shayari, Bhula Dete Tumhein