Bas Yehi Baat Ke Kisi Ko Na Chaho Dil Se,
Tajurbe Iss Ke Siwa Umr Ko Kya Dete Hai.
बस यही बात कि किसी को ना चाहों दिल से,
तज़ुर्बे इस के सिवा उम्र को क्या देते हैं।
Qabron Mein Nahi Humko Kitaabon Mein Utaro,
Hum Log Mohabbat Ki Kahani Mein Mare Hain.
क़ब्रों में नहीं हम को किताबों में उतारो,
हम लोग मोहब्बत की कहानी में मरे हैं।
Toot Kar Reh Gaya Hai Khud Se Rishta Apna,
Ek Muddat Hui Ke Dekha Nahi Chehra Apna.
टूट कर रह गया है खुद से रिश्ता अपना,
एक मुद्दत हुई कि देखा नहीं चेहरा अपना।
Kuchh Iss Tarah Se Gujaari Hai Zindgi Jaise,
Tamaam Umr Kisi Dusre Ke Ghar Mein Raha.
कुछ इस तरह से गुज़ारी है ज़िंदगी जैसे,
तमाम उम्र किसी दूसरे के घर में रहा।
Ja Aur Koi Jabt Ki Duniya Talash Kar,
Ai Ishq Hum Toh Ab Tere Qabil Nahi Rahe.
जा और कोई ज़ब्त की दुनिया तलाश कर,
ऐ इश्क़ हम तो अब तेरे क़ाबिल नहीं रहे।
Koi Toh Hai Mere Andar MujhKo Sambhale Huye,
Ke BeQarar Hokar Bhi BarQarar Hoon Main.
कोई तो है मेरे अंदर मुझको संभाले हुए,
कि बेकरार होकर भी बरक़रार हूँ मैं।
Samajh Pata Hun Der Se Main Daaon-Pench Uske,
Wo Bazi Jeet Jata Hai Mere Chalak Hone Tak.
समझ पाता हूँ देर से मैं दांव-पेंच उसके,
वो बाजी जीत जाता है मेरे चालाक होने तक।
Humari Khoj Mein Rehti Thi Titliyaan Aksar,
Ke Apne Shahar Ka Husn-o-Jamaal The Hum Bhi.
हमारी खोज में रहती थीं तितलियाँ अक्सर,
कि अपने शहर का हुस्न-ओ-जमाल थे हम भी।
Sad Shayari, Andhera Hi Sahi Tha
Sad Shayari, Chand Kaliyan Nishaat Ki