Sad Shayari, Andhera Hi Sahi Tha

Very Melancholic and Cheerless Poetry in Hindi

Advertisement

Sad Shayari, Andhera Hi Sahi Tha

Woh Andhera Hi Sahi Tha Ke Kadam Rah Par The,
Roshni Le Aayi Mujhe Manzil Se Bahut Dur.
वो अँधेरा ही सही था कि कदम राह पर थे,
रोशनी ले आई मुझे मंजिल से बहुत दूर।

Main Paa Nahi Saka Iss Kashmkash Se Chhutkara,
Tu Mujhe Jeet Bhi Sakta Tha Magar Haara Kyun?
​मैं पा नहीं सका इस कशमकश से छुटकारा​,
तू मुझे जीत भी सकता था मगर ​हारा क्यूँ​।

Advertisement

Na Haath Thaam Sake Aur Na Pakad Sake Daaman,
Bahut Hi Kareeb Se Gujar Kar Bichhad Gaya Koi.
न हाथ थाम सके और न पकड़ सके दामन,
बहुत ही क़रीब से गुज़र कर बिछड़ गया कोई।

Shikaytein Bhi Thi Use Toh Mere Khuloos Se,
Ajeeb Shakhs Tha Meri Aadatein Na Samajh Saka.
शिकायतें भी थी उसे तो मेरे ख़ुलूस से,
अजीब शख्स था मेरी आदतें ना समझ सका।

Bichhad Ke Mujh Se Tum Apni Kashish Na Kho Dena,
Udaas Rahne Se Chehra Kharab Hota Hai.
बिछड़ के मुझसे तुम अपनी कशिश न खो देना,
उदास रहने से चेहरा खराब होता है।

Abhi Toh Chur-Chur Hi Huye Hain Tere Ishq Mein,
Mere Bikharne Ka Khel Toh Abhi Baaki Hai.
अभी तो चूर-चूर ही हुए है तेरे इश्क में,
मेरे बिखरने का खेल तो अभी बाकी है।

Advertisement

Sad Shayari, Thi Kismat Mein Nakami

Sad Shayari, Kisi Ko Na Chaho

Comments