Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein,
Kiski Bani Hai Aalam-e-NaPayedar Mein.
Kah Do Inn Hasraton Se Kahin Aur Ja Basein,
Itni Jagah Kahaan Hai Dil-e-Daagdaar Mein.
Umr-e-Daraaz Maang Kar Laaye The Chaar Din,
Do Arzoo Mein Kat Gaye Do Intezaar Mein.
Kitna Hai BadNaseeb Zafar Dafn Ke Liye,
Do Gaz Zamin Bhi Na Mili Ku-e-Yaar Mein.
लगता नहीं है दिल मेरा उजड़े दयार में,
किसकी बनी है आलम-ए-नापायेदार में.
कह दो इन हसरतों से कहीं और जा बसें,
इतनी जगह नहीं है मेरे दिल-ए-दागदार में.
उम्र-ए-दराज माँग कर लाये थे चार दिन,
दो आरज़ू में कट गए दो इंतज़ार में.
कितना है बदनसीब ज़फर दफ्न के लिए,
दो गज ज़मीन भी न मिली कू-ए-यार में।
Sad Shayari, Yeh Udasiyan Kaisi
Sad Shayari, Unse Pyaar Mat Karna