Raat Bhar Mujhko Gham-e-Yaar Ne Sone Na Diya,
Subah Ko Khauf-e-Shab-e-Taar Ne Sone Na Diya.
Shamaa Ki Tarah Meri Raat Kati Suli Par,
Chain Se Yaad-e-Kad-e-Yaar Ne Sone Na Diya.
रात भर मुझको ग़म-ए-यार ने सोने न दिया,
सुबह को खौफ़-ए-शब-ए-तार ने सोने न दिया,
शमा की तरह मेरी रात कटी सूली पर,
चैन से याद-ए-कद-ए-यार ने सोने न दिया।
Kabhi Chup Mein Kabhi Meri Baat Baat Mein Tha,
Tumhara Aks Meri Saari Qaynaat Mein Tha,
Hum Ehl-e-Ishq Bahut Bad-Guman Hote Hain,
Isee Tarah Ka Koi Vasf Teri Jaat Mein Tha.
कभी चुप में कभी मेरी बात-बात में था,
तुम्हारा अक्स मेरी सारी कायनात में था,
हम अहल-ए-इश्क़ बहुत बद-गुमां होते हैं,
इसी तरह का कोई वस्फ़ तेरी जात में था।
- Noshi Gilani
Muddat Se Thi Kisi Se Milne Ki Aarzoo,
Khwahish-e-Deedar Mein Sab Kuchh Ganwa Diya,
Kisi Ne Di Khabar Ki Woh Aayenge Raat Ko,
Itna Kiya Ujala Ke Ghar Tak Jala Diya.
मुद्दत से थी किसी से मिलने की आरज़ू,
ख्वाहिश-ए-दीदार में सब कुछ गँवा दिया,
किसी ने दी खबर कि वो आयेंगे रात को,
इतना किया उजाला कि घर तक जला दिया।
Sad Shayari, Barson Ki Ibadat Haar Jati Hai
Sad Shayari, Lamhon Ki Khata