Hindi Sad Shayari, Teri Khamoshi Takleef Deti Hai
Sad Status in Hindi of Lover
Saari Duniya Ke Rooth Jane Se,
Mujhe Koyi Fark Nahi Padta,
Bas Ek Tera Khamosh Rahna,
Bahut Takleef Deta Hai.
सारी दूनिया के रूठ जाने से
मुझे कोई फर्क नहीं पड़ता,
बस एक तेरा खामोश रहना
बहुत तकलीफ देता है।
Auron Ke Paas Ja Ke
Meri Daastan Na Poochh,
Kuchh Toh Mere Chehare Pe
Likha Hua Bhi Dekh.
औरों के पास जा के
मेरी दास्तान न पूछ,
कुछ तो मेरे चेहरे पे
लिखा हुआ भी देख।
Ye Tera Khel Na Ban Jaye
Haqiqat Ek Din,
Ret Pe Likh Ke Mera Naam
Mitaya Na Karo.
ये तेरा खेल न बन जाए
हक़ीकत एक दिन,
रेत पे लिख के मेरा नाम
मिटाया न करो।
Agar Ehsaas Bayaan Ho Jaate
Lafzon Se,
Toh Phir Kaun Karta Tareef
Khamoshiyon Ki.
अगर एहसास बयां हो जाते
लफ्जों से,
तो फिर कौन करता तारीफ
खामोशियों की।