Loneliness Shayari, Dekha Chaand Ko Tanha
Short Two Line Tanhai Shayari SMS in Hindi
Jab Se Dekha Hai Chand Ko Tanha,
Tum Se Bhi Koi Shikayat Na Rahi.
जब से देखा है चाँद को तन्हा,
तुम से भी कोई शिकायत ना रही।
Main Hoon Dil Hai Tanhai Hai,
Tum Bhi Jo Hote Toh Achcha Hota.
मैं हूँ दिल है तन्हाई है,
तुम भी जो होते तो अच्छा होता।
Chand Raaton Ke Mahekte Khwaab,
Zindagi Bhar Ki Neendein Le Gaye.
चन्द रातों के महकते ख़्वाब,
ज़िन्दगी भर की नींद ले गए।
Aankhein Footein Jo Jhapakti Bhi Hon,
Shab-e-Tanhai Mein Kaisa Sona.
आँखें फूटें जो झपकती भी हों,
शब-ए-तन्हाई में कैसा सोना।
Shaam Khali Hai Jaam Khali Hai,
Zindagi Yoon Hi Gujarne Wali Hai.
शाम खाली है जाम खाली है,
ज़िन्दगी यूँ गुज़रने वाली है।
Main Bhi Tanha Hoon Aur Tum Bhi Tanha,
Waqt Kuchh Saath Gujara Jaye.
मैं भी तनहा हूँ और तुम भी तन्हा,
वक़्त कुछ साथ गुजारा जाए।