Alone Shayari, Woh Josh-e-Tanhai
Touching Shayaris about Tanhai

Woh Josh-e-Tanhai Shab-e-Gham,
Woh Har Taraf Bekasi Ka Aalam,
Kati Hai Aankhon Mein Raat Saari
Tadap Tadap Kar Sahar Huyi Hai.
वो जोश-ए-तन्हाई शब-ए-ग़म,
वो हर तरफ बेकसी का आलम,
कटी है आँखों में रात सारी,
तड़प तड़प कर सहर हुयी।
Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai,
Khamoshion Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Na Shiqwa Raha Na Shiqayat Kisi Se,
Bas Ek Mohabbat Hai,
Jo Inn Tanhayion Se Ho Gayi Hai.
इंतज़ार की आरज़ू अब खो गयी है,
खामोशियों की आदत सी हो गयी है,
न शिकवा रहा न शिकायत किसी से,
बस एक मोहब्बत है,
जो इन तन्हाइयों से हो गई है।
Chhod Do Tanhai Mein Mujhko Yaaro,
Saath Mere Rahkar Kya Paaoge,
Agar Ho Gayi Aapko Bhi Mohabbat Kabhi,
Meri Tarah Tum Bhi Pachhtaoge.
छोड दो तन्हाई में मुझको यारो,
साथ मेरे रहकर क्या पाओगे,
अगर हो गई आपको भी मोहब्बत कभी,
मेरी तरह तुम भी पछताओगे।