Alone Shayari, Main Akele Jee Nahin Sakta
Hindi Loneliness Shayari Status for Boys & Girls
तुम्हें मालूम भी है मैं अकेले जी नहीं सकता,
मेरी आदत बदलते तक तो मेरे साथ रुक जाओ।
Tumhein Maloom Bhi Hai Main Akele Jee Nahin Sakta,
Meri Aadat Badalne Tak To Mere Saath Ruk Jaao.

हर रात गुजरती है मेरी तारों के दरमियाँ।
मैं चाँद तो नहीं मगर तन्हा जरूर हूँ।
Har Raat Gujarti Hai Meri Taaron Ke Darmiyaan.
Main Chaand Toh Nahi Magar Tanha Jarur Hoon.
सूरज रोज अब भी बेफिजूल ही निकलता है,
तुम गए हो जब से, उजाला नहीं हुआ।
Sooraj Roj Ab Bhi Befizool Hi Nikalta Hai,
Tum Gaye Ho Jab Se Ujaala Nahi Hua.
मेरे मरने पे सब खुश हो रहे होंगे,
बस एक तन्हाई रोयेगी मेरा हमसफर चला गया।
Mere Marne Pe Sab Khush Ho Rahe Honge,
Bas Ek Tanhai Royegi Mera Humsafar Chala Gaya.
बड़े अजीब से इस दुनिया के मेले हैं,
यूँ तो दिखती भीड़ है पर फिर भी अकेले है।
Bade Ajeeb Se Iss Duniya Ke Mele Hain,
Yoon To Dikhti Bheed Hai Par Fir Bhi Akele Hai.
उसने इस कदर तन्हा कर दिया मुझको,
कि अब किसी को भी तन्हा देखा नहीं जाता।
Uss Ne Iss Kadar Tanha Kar Diya Mujh Ko,
Ke Ab Kisi Ko Bhi Tanha Dekha Nahin Jata.